Urdu ghazals,best ghazals collection,romantic ghazals,heart touching ghazals...
Ghazals are very best way to express the emotions and feelings.Ghazals are little lengthy than other poetry.Ghazals are very popular in Pakistan and India as well,people like to choose ghazals to describe their feelings.Ghazals are like a musical journey that takes you deep into the realm of emotions.In this page you will get a collection of beautiful amd hearfelt ghazals that will touch your soul and will leave a long lasting effect on your life.For more heartfelt poetry you have to a click p4poetry and urdu poetry.
![]() |
Ghazals In Urdu Text/Famous Ghazals |
ﻭﮦ ﮨﻤﺴﻔﺮ ﺗﮭﺎ ﻣﮕﺮ ﺍﺱ ﺳﮯ ﮨﻢ ﻧﻮﺍﺋﯽ ﻧﮧ ﺗﮭﯽ
ﮐﮧ ﺩﮬﻮﭖ ﭼﮭﺎﺅﮞ ﮐﺎ ﻋﺎﻟﻢ ﺭﮨﺎ ﺟﺪﺍﺋﯽ ﻧﮧ ﺗﮭﯽ
ﻣﺤﺒﺘﻮﮞ ﮐﺎ ﺳﻔﺮ ﺍﺱ ﻃﺮﺡ ﺑﮭﯽ ﮔﺰﺭﺍ ﺗﮭﺎ
ﺷﮑﺴﺘﮧ ﺩﻝ ﺗﮭﮯ ﻣﺴﺎﻓﺮ ﺷﮑﺴﺘﮧ ﭘﺎﺋﯽ ﻧﮧ ﺗﮭﯽ
ﻋﺪﺍﻭﺗﯿﮟ ﺗﮭﯿﮟ ، ﺗﻐﺎﻓﻞ ﺗﮭﺎ، ﺭﻧﺠﺸﯿﮟ ﺗﮭﯿﮟ ﺑﮩﺖ
ﺑﭽﮭﮍﻧﮯ ﻭﺍﻟﮯ ﻣﯿﮟ ﺳﺐ ﮐﭽﮫ ﺗﮭﺎ ، ﺑﮯ ﻭﻓﺎﺋﯽ ﻧﮧ ﺗﮭﯽ
ﺑﭽﮭﮍﺗﮯ ﻭﻗﺖ ﺍﻥ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺗﮭﯽ ﮨﻤﺎﺭﯼ ﻏﺰﻝ
ﻏﺰﻝ ﺑﮭﯽ ﻭﮦ ﺟﻮ ﮐﺴﯽ ﮐﻮ ﺍﺑﮭﯽ ﺳﻨﺎﺋﯽ ﻧﮧ ﺗﮭﯽ
ﮐﺴﮯ ﭘﮑﺎﺭ ﺭﮨﺎ ﺗﮭﺎ ﻭﮦ ﮈﻭﺑﺘﺎ ﮨﻮﺍ ﺩﻥ
صدﺍ ﺗﻮ ﺁﺋﯽ ﺗﮭﯽ ﻟﯿﮑﻦ ﮐﻮﺋﯽ ﺩﮨﺎﺋﯽ ﻧﮧ ﺗﮭﯽ
ﻋﺠﯿﺐ ﮨﻮﺗﯽ ﮨﮯ ﺭﺍﮦ ﺳﺨﻦ ﺑﮭﯽ ﺩﯾﮑﮫ ﻧﺼﯿﺮ
ﻭﮨﺎﮞ ﺑﮭﯽ ﺁ ﮔﺌﮯ ﺁﺧﺮ، ﺟﮩﺎﮞ ﺭﺳﺎﺋﯽ ﻧﮧ ﺗﮭﯽ
Wo hu-msafar tha magar us se hum-nawaai na thi
Ke dhoop chhaaNv ka aalam raha, judaai na thi
MuhabbatoN ka safar is tarah bhi guzraa tha
Shikasta dil the musaafir, shikasta-paayi na thi
Adavatein thi,taghaful tha,ranjishein thi bohat
Bichharne wale mein sab kuch tha be-wafaai na thi
Bichharte waqt un ankhon mein thi hamari Ghazal
Ghazal bhi woh, jo kisi ko abhi sunaai na thi
Kise pukaar raha tha woh doobta hua din
Sadaa to aayi thi lekin koi duhaai na thi
Ajeeb hoti hai raah-e-sukhan bhi, dekh Naseer
Wahan bhi aagaye aakhir, jahaan rasaai na thi
Urdu ghazals
![]() |
Ghazals In Urdu Text/Famous Ghazals |
بیانِ حال مفصّل نہیں ہوا اب تک
جو مسئلہ تھا وہی حل نہیں ہوا اب تک
نہیں رہا کبھی میں تیری دسترس سے دور
مِری نظر سے تُو اوجھل نہیں ہوا اب تک
بچھڑ کے تجھ سے یہ لگتا تھا ٹوٹ جاؤں گا
خدا کا شکر ہے پاگل نہیں ہوا اب تک
جلائے رکھا ہے میں نے بھی اک چراغِ امید
تمہارا در بھی مقفل نہیں ہوا اب تک
مجھے تراش رہا ہے یہ کون برسوں سے
مِرا وجود مکمل نہیں ہوا اب تک
دراز دستِ تمنّا نہیں کیا میں نے
کرم تمہارا مسلسل نہیں ہوا اب تک
Bayaan E haal mufassal nahi hua ab tak
Jo masla tha wohi hal nahi hua ab tak
Nahi raha kabhi main teri dastaras se door
Meri nazar se too ojhal nahi hua ab tak
Bichhar ke tujh se ye lagta tha toot jaunga
Khuda ka shukr hai pagal nahi hua ab tak
Jalaye rakkha hai main ne bhi ek chiragh-e-umeed
Tumhara dar bhi muqfal nahi hua ab tak
Mujhe tarash raha hai ye kaun barson se
Mera wajood mukammal nahi hua ab tak
Daraaz dast-e-tamanna nahi kiya main ne
Karam tumhara musalsal nahi hua ab tak
Best ghazals
![]() |
Ghazals In Urdu Text/Famous Ghazals |
مر جائیں گے تو کسی کے لب پہ نام ہو گا
ماتم ہو گا کہیں، کہیں شہنائیوں کا اہتمام ہو گا
کوئی روئے گا یاد کر کے وفائیں
لبوں پہ کسی کے خوشیوں کا جام ہو گا
دولت اپنی ہاتھوں میں لے کہ ڈھونڈے گا کوئی
نہ ملیں گے ہم، قیمت ہماری نہ کوئی دام ہو گا
کم ہو گا جب شبابِ الفت کسی پہ عامرؔ
کر کے یاد تڑپے گا، معاملہ یہ سر عام ہو گا
Mar jayen ge to kisi k lab pe naam hoga
Matam hoga kahin,kahin shehnaiyon ka ahtemam hoga
Koi roye ga yaad kar ke wafayen
Labon pe kisi ke khusiyon ka jaam hoga
Dolat apni haathon mein le ke dhunde ga kou
Na milen ge hum qeemat hamari na koi daam hoga
Kam hogs jab shabab-e-ulfat kisi pe Amir
Kar ke yaad tarpay ga,muamla ye sir-e-aam hoga
Romantic ghazals
![]() |
Ghazals In Urdu Text/Famous Ghazals |
اپنے احساس سے چھو کر مجھے صندل کر دو
میں کہ صدیوں سے ادھورا ہوں مکمل کر دو
نہ تمہیں ہوش رہے اور نہ مجھے ہوش رہے
اِس قدر ٹوٹ کے چاہو، مجھے پاگل کردو
تم ہتھیلی کو میرے پیار کی مہندی سے رنگو
اپنی آنکھوں میں میرے نام کا کاجل کر دو
اس کے سائے میں مرے خواب مہک اُٹھیں گے
میرے چہرے پہ چمکتا ہوا آنچل کر دو
دُھوپ ہی دُھوپ ہوں میں ٹوٹ کے برسو مجھ پر
اِس قدر برسو میری رُوح میں جل تھل کر دو
جیسے صحرائوں میں ہر شام ہوا چلتی ہے
اس طرح مجھ میں چلو اور مجھے تھل کر دو
تم چھپا لو میرا دل اوٹ میں اپنے دِل کی
اور مجھے میری نگاہوں سے بھی اوجھل کر دو
مسئلہ ہوں تو نگاہیں نہ چُراؤ مُجھ سے
اپنی چاہت سے توجہ سے مجھے حل کر دو
اپنے غم سے کہو ہر وقت مرے ساتھ رہے
ایک احسان کرو اس کو مُسلسل کر دو
مجھ پہ چھا جاؤ کسی آگ کی صورت جاناں
.....اور میری ذات کو سوکھا ہوا جنگل کر دو
Apne Ehsaas Se Choo Kar Mujhe Sandal Kar Do
Main K Sadiyon Se Adhoora Hoon Mukammal Kar Do
Na Tumhen Hosh Rahe, Aur Na Mujhe Hosh Rahe
Is Qadar Toot K Chaaho, Mujhe Pagal Kar Do
Tum Hatheli Ko Mere Piyar Ki Mehndi Se Rango
Apni Aankhon Mein, Mere Naam Ka Kajal Kar Do
Is K Saye Mein Mere Khuwaab mehak Uthain Gay
Mere Chehray Pay Chamakta Hua Aanchal Kar Do
Dhoop He Dhoop Hoon Main, Toot K Barso Mujh Par
Is Qader Barso Meri Rooh Main Jal Thal Kar Do
Jese Sehraon Main Har Shaam Hawa Chalti Hai
Is Tarah Mujh Mein Chalo Aur Mujhe Thall Kar Do
Tum Chupa Lo Mera Dil Oat Main Apne Dil Ki
Aur Mujhe Meri Nighaon Se Bhi Ojhall Kar Do
Masla Hoon Tou Nighein Na Churao Mujh Se
Apni Chahat Se Tawajjah Se Mujhe Hal Kar Do
Apne Gham Se Kaho, Har Waqt Mere Sath Rahe
Aik Ehsaan Karo, Is Ko Musalsal Kar Do
Mujh Pay Chhaa Jao Kisi Aag Ki Soorat Janaa
Aur Meri Zaat Ko Sookha Hua Jungle Kar Do
Heart touching ghazals
Ghazals In Urdu Text/Famous Ghazals
![]() |
Ghazals In Urdu Text/Famous Ghazals |
اب بھی ڈوبتی کشتی کو پار لگایا جا سکتا ہے
ان جاہل حکمرانوں کے تخت کو گرایا جاسکتا ہے
گر انکا تخت و تاج الٹا نہیں سکتے
مگر ان کی حکمرانی کو تو جھٹلایا جاسکتا ہے
ضروری تو نہیں ہم بھی کاٹیں ہجر و وصال
تیری جگہ کسی اور کو بھی تو اپنایا جا سکتا ہے
یہ تیرا حسیں خدوخال یہ حسیں زلفیں
کیوں الجھیں ان میں انکو جلایا بھی تو جا سکتا ہے
چند جاہل متحد ہو کر سمجھتے ہیں
کہ مجھ دانا کو ہرایا جاسکتا ہے
اگرچہ کچھ خاص نہیں اپنا اندازِ بیاں
مگر پھر بھی حال دل تو سنایا جاسکتا ہے
Ab bhi doobti kashti ko paar lgaya ja sakta hai
In jahil hukumrano ke takht ko giraya ja sakta hai
Gar in ka taaj-o-takht ulta nahi sakte
Magr inki hukumrani ko to jhutlaya ja sakta hai
Zaruri to nahi hum he katain hijr o wasal
Teri jaga kisi or ko bhi to apnaya ja sakta hai
Ye tera haseen khadokhal,ye haseen zulfain
Kion uljhen in mein,inko jalaya bhi to ja sakta hai
Chand jahil muthid ho kar samjhte hain
Ke mujh ko haraya ja sakta hai
Agrcheh kuch khaas nahi apna andaz-e-biyan
Magr phir bhi haale-e-dil to sunaya ja sakta hai
Ghazals In Urdu Text/Famous Ghazals
![]() |
Ghazals In Urdu Text/Famous Ghazals |
کچھ بات ہے کہ خیال یار آیا
ایک بار نہ ہی بلکہ بار بار آیا
بھول چکا تھا سب چوٹیں دل کی
یہ کیا کہ پھر زخم فگار آیا
وہ زمانے کی سازش وہ اپنوں کا ستم
کچھ نہیں بس یاد اک اک وار آیا
بتائے تو کوئی جا کہ صاحب کو
چلتے چلتے یہاں تک اس کا طلبگار آیا
عامر نہ کر جیت کی لگن اب
جانے کب کا ہے تو ہار آیا
Kuch baat hai ke khiyal-e-yar aaya
Aik baar na he balke baar baar aya
Bhool chuka tha sab chotain dil ki
Ye kia ke phir zakhm figaar aaya
Wo zamanay ki saazish wo apno ka sitam
Kuch to nahi bas yaad ik ik waar aya
Btaye to koi ja ke sahib ko
Chalte chalte yahan tak iss ka talabgar aaya
Aamir na kar jeet ki lagan abb
Jaane kab ka hai tu haar aya