Parveen Shakir best poetry in urdu.Best shayari and ghazals of Parveen Shakir
Parveen Shakir was a renowned poetess known for her beautiful urdu poetry.She expressed emotions with depth and grace.Her poetry touching the of many.Her work continues to inspire poetry lovers around the world.In this page you may get a great collection of heartfelt poetry of Parveen Shakir.If you want to read more poetry of famous Poets you must search Allama Iqabal,John Elia.Hopefully you will enjoy and appreciate our efforts...
![]() |
Parveen Shakir poetry in urdu/Parveen Shakir Shayari |
زندگی میں یہ ہنر بھی آزمانا چاہیے
جنگ کسی اپنے سے ہو تو ہار جانا چاہیے
Zindagi mein ye hunar bhi azmana chahiye
Jung Kisi apne se ho to haar Jana chahiye
![]() |
Parveen Shakir poetry in urdu/Parveen Shakir Shayari |
کٌچھ تو ہوا بھی سرد تھی کچھ تھا تیرا خیال بھی
دِل کو خوشی کے ساتھ ساتھ ہوتا رہا ملال بھی
kuch tu hawa bhi sard thi kuch tha tera khiyal bhi
Dil ko khushi Ke sath sath hota raha malal bhi
Best Parveen Shakir poetry
![]() |
Parveen Shakir poetry in urdu/Parveen Shakir Shayari |
میں سچ کہوں گی مگر پھر بھی ہار جاٶں گی
وہ جھوٹ بولے گا اور لاجواب کر دے گا
Main such kahon gi magar phir bhi haar jaon gi
Wo jhoot bole ga aur lajawab kar de ga
![]() |
Parveen Shakir poetry in urdu/Parveen Shakir Shayari |
سَب سے نظر بچا کے وہ مُجھ کو کُچھ ایسے دیکھتا
ایک دفعہ تو رُک گئی، گردش ماہ و سال بھی
Sab se nazar bacha ke wo mujh ko kuch aisay dekhta
Aik dafa to ruk gai gardish mah-o-saal bhi
![]() |
Parveen Shakir poetry in urdu/Parveen Shakir Shayari |
یہ کب کہتی ہوں تم میرے گلے کا ہار ہو جاو
وہیں سے لوٹ جانا تم جہاں بیزار ہو جاو
Ye kab kehti hun tum mere galay Ka haar ho jai
Wahin SE laut Jana tum jahan bezaar ho jao
Urdu ghazals of Parveen Shakir
![]() |
Parveen Shakir poetry in urdu/Parveen Shakir Shayari |
عکس خوشبو ہوں بکھرنے سے نہ روکے کوئی
اور بکھر جاؤں تو مجھ کو نہ سمیٹے کوئی
کانپ اٹھتی ہوں میں یہ سوچ کے تنہائی میں
میرے چہرے پہ ترا نام نہ پڑھ لے کوئی
جس طرح خواب مرے ہو گئے ریزہ ریزہ
اس طرح سے نہ کبھی ٹوٹ کے بکھرے کوئی
میں تو اس دن سے ہراساں ہوں کہ جب حکم ملے
خشک پھولوں کو کتابوں میں نہ رکھے کوئی
اب تو اس راہ سے وہ شخص گزرتا بھی نہیں
اب کس امید پہ دروازے سے جھانکے کوئی
کوئی آہٹ کوئی آواز کوئی چاپ نہیں
دل کی گلیاں بڑی سنسان ہیں آئے کوئی
Aqs Khushboo hun bikharne se na roke koi
Aur bikhar jaon to mujh ko na sametay koi
Kaanp uthti Hun main ye Soch Ke tanhai mein
Mere chehre pe tera naam na parh le koi
Jis tarah khuwaab mere hogay reza reza
Is tarah se na kabhi toot ke bikhare koi
Main to uss din se harassan hun Ke jab hukm mile
Khushk phulon ko kitabon mein na rakhe koi
Abb to iss rah se wo shakhs guzarta bhi nahi
Abb kis umeed pe darwaze se jhanke koi
Koi aahat koi awaz koi chaap nahi
Dil ki galiyan bari sunsaan hain aye koi
![]() |
Parveen Shakir poetry in urdu/Parveen Shakir Shayari |
میں پھول چنتی رہی اور مجھے خبر نہ ہوئی
وہ شخص آ کےمیرے شہر سے چلا بھی گیا
main phool chunti rahi aur mujhy khabar na hui
wo shakhs aa kay mere shehar se chala bhi gaya
![]() |
Parveen Shakir poetry in urdu/Parveen Shakir Shayari |
بہت رویا وہ ہم کو یاد کر کے
ہماری زندگی برباد کر کے
پلٹ کر پھر یہیں آ جائیں گے ہم
وہ دیکھے تو ہمیں آزاد کر کے
رہائی کی کوئی صورت نہیں ہے
مگر ہاں منت صیاد کر کے
بدن میرا چھوا تھا اس نے لیکن
گیا ہے روح کو آباد کر کے
ہر آمر طول دینا چاہتا ہے
مقرر ظلم کی میعاد کر کے
Bohat roya woh hum ko yaad Kar Ke
hamari zindagi barbad Kar Ke
Palat Kar phir yahin ajaen ge hum
Woh dekhe to hamain azaad kar Ke
Rihai ki koi surat nahi hai
Magar haan minatt sayad kar ke
Badan mera chhua tha uss ne lekin
Gaya hai rooh ko abaad kar Ke
Har aamar tool dena Chahta hai
Muqarar zulm ki miyad kar Ke
Parveen Shakir Best shayari
![]() |
Parveen Shakir poetry in urdu/Parveen Shakir Shayari |
تلاش کر میری کمی کو اپنے دل میں
درد ہو تو سمجھ لینا ، رشتہ اب بھی باقی ہے
Talash kar meri kami ko apne dil mein
Dard ho to samajh Lena,rishta ab bhi baki hai