Father Poetry in urdu,father love shayari & quotes
In this page, we have collected the latest poetry on father in urdu that will be used to express love with father.If you are searching quotes and verses to describe your love for your Father,Don’t worry Now You are in the right place, here we have collected the latest urdu quotes about Father’s Love...
![]() |
Father Poetry In Urdu/Baap Shayari In Urdu |
باپ کا ہاتھ پکڑنا سیکھو عمر بھر
کسی کے پاؤں پڑنے کی نوبت نہیں آۓ گی
کہ باپ سے بہتر دوست اس دنیا میں کوئی ہو ہی نہیں سکتا
کہ جسے تمہارے وجود سے بھی محبت ہے
Baap Ka haath pakarna seekho Umar bhar
Kisi ke Paon parne ki nobat Nahi aye gi
Ke baap SE behtar dost iss duniya mein koi ho hee nahi Sakta
Ke jisse tumhare wajood se bhi mohabbat hai
![]() |
Father Poetry In Urdu/Baap Shayari In Urdu |
باپ کی دعا اولاد کیلۓ ایسی ہے
جیسے نبیﷺ کی دعا امت کیلۓ
کہ خدارا قدر کرنا سیکھو اپنے باپ کی کہ باپ وہ ہستی ہے
جس کے وجو د میں تمہاری جنت کی کنجی ہے
Baap ki duaa oulad Ke liye asi hai
Jese Nabi ki duaa umat Ke liye
Ke Khudara qadar karna seekho Apne baap ki Ke baap woh hasti hai jiss Ke wajood mein tumhare liye jannat ki kunji hai
Father sad lines
![]() |
Father Poetry In Urdu/Baap Shayari In Urdu |
اس دنیا میں آپ کا باپ وہ واحد شخص ہے
جو چاہتا ہے کہ آپ اس سے بھی زیادہ کامیاب بنو
کہ دنیا کی ہر شے تمہیں کامیابی سے روکے گی پھر اک باپ ہی ہوگا
جو ناکامی میں بھی تمہارے ساتھ ہوگا
Iss duniya mein aap Ka baap wo wahid shakhs hai
Jo Chahta hai Ke Aap iss se bhi ziada kamyab bano
Ke duniy ki har shay tumhen kamyabi se roke gi
Phir ik baap hee ho ga Jo nakami mein bhi tumhare sath hoga
Father sad shayari in urdu
![]() |
Father Poetry In Urdu/Baap Shayari In Urdu |
باپ اولاد کیلۓ ڈھال ہے
جو کبھی اپنی اولاد سے غافل نہیں ہوتا
کہ اک باپ ہی وہ ہستی ہے جو کبھی اپنی اولاد سے بیزار نہیں ہوتا
Baap oulad Ke liye dhaal hai
Jo kabhi apni oulad se ghafil nahi hota
Ke ik baap hee wo hasti hai Jo kabhi apni oulad se bezaar nahi hota
![]() |
Father Poetry In Urdu/Baap Shayari In Urdu |
ممکن ہوتا اگر کسی کو عمرلگانا
تو میں اپنی ہرسانس اپنے بابا کے نام لکھتا
کہ اک پل مہلت مل جاتی اپنی جان کسی کو دینے کی تو واللہ کچھ دیر نہ لگاتے
ہم اپنی جان بابا کو دینے میں
Mumkin hota agar Kisi ko apni umar lagana
To main apni har saans apne Baba Ke naam likhta
Ke ik pal mohlat mil jati apni Jaan Kisi ko dene ki
Wallah Kuch dayr na lgate hum apni Jan Baba ko dene mein
Father loving poetry
![]() |
Father Poetry In Urdu/Baap Shayari In Urdu |
درد کبھی نہ دینا اس خالق تصویر کو
سارا زمانہ کہتا ہے باپ جس کو
کہ سنبھال رکھنا یہ بوڑھی جان گھر میں
کہ اس کے جانے سے یہ گھر ویران ہوجانا ہے
Dard kabhi na dena iss khaliq e tasveer ko
Sara zamana kehta hai baap jiss ko
Ke sanbhal rakhna ye boorhi Jaan ghar mein
Ke iss k jane se ye ghar veeran ho jata hai
![]() |
Father Poetry In Urdu/Baap Shayari In Urdu |
باپ زینہ ہے جو لے جاتا ہے اونچائی تک
ماں کی دعا ہے جو سدا سایہ فگن رہتی ہے
کہ سایہ والدین میں جب تک رہا خوشحال رہا
کہ جوں ہی وہ بچھڑے تو بربادی آلپٹی
Baap wo zeena hai Jo le jata hai unchai tak
Maa ki duaa hai Jo sada saya fagan rehti hai
Ke saya waaldain mein jab tak Raha khushaal Raha
Ke joo hee wo bicharne to barbadi aa lipti
![]() |
Father Poetry In Urdu/Baap Shayari In Urdu |
ماں باپ کا کوئی دن نہیں ہوتا
بلکہ ماں باپ سے ہی تو ہر دن ہوتا ہے
کہ ہر روز ہی ان کو دیکھ کر میرا دن نکلتا ہے
کہ اک پل جو ان کو نہ دیکھوں تو یہ جان نکل جاتی ہے
Maa baap Ka koi din nahi hota
Balke maa baap se hee to her din hota
Ke har Roz hee in ko dekh Kar mera din niklta hai
Ke ik pal Jo in ko na dekhon to ye Jaan nikal jati hai
![]() |
Father Poetry In Urdu/Baap Shayari In Urdu |
اے قلم رک جا —————ادب کا مقام ہے
تیری نوک کے نیچے میرے ماں باپ کا نام ہے
کہ اداب تحریر لکھتے ہوۓ ہم نے ہر کاغذ جلا دیا
اک وہ صحیفہ باقی رہا جہاں تذکرہ ماں باپ کا تھا
Ay qalam ruk Ja ke adab Ka muqam hai
Teri nok ke niche mere maa baap Ka nam hai
Ke adab e tehreer likhte hue hum ne har kaghaz jala dia
Ik wo sahifa Baki Raha jahan tazkra maa baap Ka tha
![]() |
Father Poetry In Urdu/Baap Shayari In Urdu |
مجھے زمین کے طولِ عرض سے کیا لینا
میری دنیا تو فقط باپ کے ساۓ جتنی
کہ کچھ نہیں چاہیے سوا تمہارے
بابا کے بس یونہی مجھ پر سایہ شکن کا رکھنا اپنا
Mujhe zameen ke tool o arz se Lia Lena
Meri duniya to faqat baap Ke saye jitni
Ke Kuch nahi chahiye siwa tumhare
Baba Ke bas yun hee mujh par saya shakan Ka rakhna apna